chaand maddham hai aasmaan chup hai
chaand maddham hai aasmaan chup hai
nind ki goad main jahaan chup hai
duur vaadii main duudhiyaa baadaal
jhuk ke parbatko pyaar karate hain
dil main naakaam hasaraten lekar
ham teraa intazaar karate hain
in bahaaron ke saaye main aa jaa
phir mohabbat javaan rahe na rahe
zindagii tere naa-muraadon par
kal talak meharabaan rahe na rahe
roz kii tarah aaj bhii taare
subah kii gard main na kho jaayain
aa tere Gam main jaagatii aankhen
kam se kam ek raat so jaayen
chaand maddham hai aasmaan chup hai
nind ki goad main jahaan chup hai
Thanks for visiting my web site. Adnan Ijaz