Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoo.n
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoo.n
Phooloo.n k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoo.n
Main bhi kitni pagal hoon na!
Chandni shab ko khunak hawa main
Chand nagar ko jana chahoo.n
Amber k ik ik taarey ko
Daman main bhar lena chahoo.n
Bhaag k sarey nanhey jugno
Muthi main band karna chahoo.n
Main bhi kitni pagal hoon na!
Kabhi kabhi un nazroo.n k main
Gongey sapney parhna chahoo.n
Uss ki sochoo.n k zeney per
Nangey pa'oo.n main charhna chahoo.n
Janti hoon na-mumkin hay ye
Phir bhi kitni pagal hoon main
Janey kya kya karna chahoo.n
Titli, khushbo, badal ban ker
sang hawa k urna chahoo.n