Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana
mein apna aap sanbhaa loon to phir chaley jana

usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon mein
mein in ki piyas bujha loon to phir chaley jana

dil ko ye waham k tum laut ker na aao ge
ye waham dil se nikaaloon to phir chaley jana

bayaz-e-dil peh jo utri hai surat-e-ilham
wo ghazal tum ko suna loon to phir chaley jana

nisaar hotey hain shama peh kesey perwaney
yeh jashan tum ko dikha loon to phir chaley jana
.............................................................................
wo mere samney tasveer baney bethey hein
mere har khwab ki tabeer baney bethey hein
chaand in ankhoon ko dekhe toh kanwal bun jaye
raat in hontoon ko choo le toh ghazal bun jaye

in ki zulfoon ka haal mat poocho
mujh se mera khayal mat poocho
ye toh ulji houi zanjeer baney bethey ehin

door jatey hein toh ankhoon ki chamak jati hai
paas atey hein toh har saand mehak jati hai
do gari in ke pass rehtey hein
warna hum toh udaas rehtey hein
.............................................................................
teri batien sun ke aa gaya hai humein batein karna
warna humein toh jeena be na ata tha

mohabat ki daastan kya likhtey tujh ko
humein toh nazrein milana be na ata tha

likh diya hai ajj tujhe hum ne paighaam_e_mohabat
warna tujh se milney se pehley humein yoon likhna na ata tha

jub mila tu mujhe toh hi humein hasna aya
warna mere laboon ko muskurana be na ata tha

azma letey hein hum be ab dost dushmanoon mein
warna kissi ke dil mein utarna humein na ata tha!!
.............................................................................
1.

Design By: Adnan Ijaz
Visitors
    ¯
3.
2.
Short Urdu Poems (page 2)
page: 1,2,3
@dn@n ij@z........
Thanks for visiting my web site.          Adnan Ijaz