jhoote ilzaam meri jaan lagaya na karo
dil hai naazuk ise tum aise dukhaya na karo
meri aankhon mai jo ache nahi lagte aansoo
to jalaya na karo mujh ko sataya na karo
tum kisi aur ki kismat mai ho tum mere nahi
ye agar sach bhi hai to mujh ko bataya na karo
yaa to taabeer batao mere sab khuaabon ki
ya koi khuaab in aankhon ko dikhaaya na karo
abhi aaye ho, abhi bethe, abhi jaate ho
sirf ik rasm nibhane ko to aaya na karo
.............................................................................
tum apne Khat meN yuuN lafzoN kaa silsilaa rakhnaa
har ek lafz kaa mafhuum duusraa rakhnaa
tumhaare lab kii mahek raaz faash kar degii
lifaafaa band na karnaa, yunhii khulaa rakhnaa
na itnaa TuuT ke miliye ke dil pe shak guzre
Khuluus meN bhii zaruurii hai faasilaa rakhnaa
maiN zindagii meN kahiiN tumse mil hii jaauuNgaa
magar ye shart hai, bicchaRne kaa hauslaa rakhnaa
ye soz-o-karb mujhe tajruboN ne bakhshaa hai
jalaanaa shamm’a to daaman se faasilaa rakhnaa
.............................................................................
hasiin kitnaa ziyaadaa ho gayaa hai
vo jab se aur saadaa ho gayaa hai
chalo ham bhii muhabbat kar hii leNge
agar us kaa iraadaa ho gayaa hai
bhulaa duuNgaa use agle janam tak
meraa us se ye vaadaa ho gayaa hai
ghaRii bhar uskii aaNkhoN meN utar kar
samandar bhii kushaadaa ho gayaa hai
bicchaRne kaa use bhii dukh hai shaayad
ke ab to vo bhii aadhaa ho gayaa hai
.............................................................................