lab pe tere iqraar-e-mohabbat sher Gazal kaa lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii phuul kamal kaa lagataa hai
dil ko nazar se Takaraaye bhii ek zamaanaa biit gayaa
*** magar hai itanii taazaa haadasaa kal kaa lagataa hai
.............................................................................
har aik shab meri taaza azaab mai guzri
tumhaare baad tumhaare hi khwab mai guzri
mai aik phool hoon too mujh ko rakh k bhool gaya
tamam umr tumhari kitaab mai guzri
.............................................................................
aarazuu hai vafaa kare koi
jii na chaahe to kyaa kare koi
tum saraapaa ho suurat-e-tasveer
tum se phir baat kyaa kare koi
.............................................................................
tum mil jaate
phir kho jaate
to kuch tera gam bhi hota
mile nahi to
khona kaisa
teri yaad mai
rona kiasa
.............................................................................
ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa ga_ii us ko
vo rooTh kar bhii mujhe muskuraa ke miltaa hai
.............................................................................
log har mor pe ruk ruk ke sambhalate kyuuN hain
itanaa Darate hain to phir ghar se nikalte kyuuN hain
main na juganuu huuN diyaa huuN na koii taaraa huuN
raushanii vaale mere naam se jalte kyuuN hain
niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuuN hain
morr hotaa hai javaanii kaa sambhalne ke liye
aur sab log yahiin aake phisalte kyuuN hain
.............................................................................