Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai
.............................................................................
Kashish Hi Nahin Alfaaz Ki
Chahat Ko Tu Zaroorat Hai Bas Ehsaas Ki
Paas Hotay Tu Manzar Hi Kia Hota
Door Say Khabar Hai Humain Aap Ki Har Saans Ki
.............................................................................
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana
.............................................................................
Pyaar Aa Jaata Hai Aankhon Main Roonay Say Pehlay
Har Khuwab Toot Jaata Hai Soonay Say Pehlay
Ishq Hai Gunnah Yeh Tu Samajh Gaye
Kaash Koi Rook Leta Yeh Gunnah Honay Say Pehlay
.............................................................................
Baat-Baat Pay Sataya Nahin Kartay
Samjhi Huey Baton Ko Samjhaya Nahin Kartay
Kartay Hain Jin Doston Say Hum Pyaar Itna
Unhay Hum Un Ki Ehmiyat Samjhaya Nahin Kartay
.............................................................................
Kaheen Bi Jaon Tumhra Kiyal Rehta hai
Judaeon Main bi Tuj say Visal Rehta hai
Her Aik Jata Hua Sall Muj Say Kheta Hai
Abi To Hijar Ka Ik Or Sall Rehta Hai
.............................................................................
na hum hotay na tum hotay na yeh silsila hota
na dil hota na dil rota na dil say dil juda hota
.............................................................................
Jane kya mujh se zamana chahta hai,
Dil tod ke phir mujh ko hasana chahta hai,
Jane kya chalakta hai mere chehre se,
ke har shaks mujh ko aazmana chahta hai....
.............................................................................